STUDY
AND
EXAM
.COM

Urdu Poetry SMS

Page - 4
Yaadon ki zameen par apki parchaayi si lagti hay..
Kaanon may goonjti shehnaayi lagti hay..
.
Ap ka qareeb hona tu yon apna-pan hay..
Warna tu seenay may sans bhe paraayi si lagti hai..     
Chalo Kuch Dair Hanstay Hien
Mohabbat owr Inaayat Par
Ke Ye be-bunyaad batien Hien
Sabhi Reshtay Sabhi Naatay
Zarorat ki Ejaadien Hien
Kaheen koi nahe Marta Kesi ke wastay Jaana
Ke sab hai Phair Lafzon ka
Hay sara khail Harfon ka
Nahe hay Mahboob Koi bhi
Jumlay Saray Kastay Hien     
Mousam tha be-qaraar tumhay sochta raha
Kal raat baar baar tumhay sochta raha
.
Baarish huwi tu ghar ke dewaaron se lag ke
Mai chup chaap sogwaar tumhay sochta raha     
Yad kar k Mujhay takleef hi hoti hogi
Ek qissa hon purana sa bhula De muj ko
Doobtay doobtay awaaaz tairi Sunta jawaon
Akhri bar ab sahil Say sadaa de Muj ko
Mai taire hejr mien chup chap na mar jawon kahin
Khushi na sahi par aa kay Rula de Muj ko     
Bhulana tumhay assan na hoga
Jo bholay tumhay wo nadaan hoga
.
Aap tu bastay ho rooh may hamaari
Aap hamay na bhulaana yai ihsaan hoga     
Ik shakhas pas Rah ke Samjha Nahe Mujhay
Is bat ka malaal hai shekwa nahe mujhay
Mai Usko bewafayi Ka Ilzaam kese don
Us nay tu Ibtedaa Say hi chaaha nahe mujhay
Kia umeedien baandh ke aya tha samnay
Us nay tu ankh bhar ke daikha nahe mujhay     
Yaad mai teri ahain bharta hai koi
Har saans kay saath tujhay yad karta hai koi
.
Mout to sachaayi hai, aani hai aik din
Teri Judaayi mai har roz marta hai koi…     
Rat ke kesi lamhay jo tumhaari yad aye
Tu batawo muj ko mai kya karon?
Tumhay meethi neend say jaga don?
Ya tumharay seenay pe sar rakh ke so jawon?
Tumhari gahri band ankhon ko kholon?
Owr khud un mai sama jawon?
Yaa tumhay bina ankhain jhapkaye dekhta rahon?
Ke kahin yai khwaab toot na jaaye     
Kesi ko muhabbat ki sachaayi maar gai
Kesi ki muhabbat may bewafaayi maar gai
.
Kar kay muhabbat koi bach nahe sakta
Jo bach giya ussay tanhaayi maar gai     
Zakham-e-dil ko gulaab kya likhon
Chahaton ke azaab kya likhon
Apni auqaat say waaqif hon mai
Khud ko mai mahtaab kya likhon
Jes nay likha hai zendagi muj ko
Us ke khat ka jawaaab kya likhon
Teshnagi tu ab tak na bujh saki
Kitnay aye selaab kya likhon     
4